Business Plan Kya Hai aur Business Plan Kaise Banaye

Business Plan Kya Hai Business Plan Kaise Banaye Kisi self investment me Business plan ki koi jaroorat nahin hai lekin Bank loan ya Investor se invesrtment ke liye Business plan ki jaroorat hai. kisi bhi kaam me safalta ke liye Planning ke sath shuru karna chahiye. planning ke bina success nahi milta hai. jindgi me safalta chahiye to planning ke sath kaam karna hoga. planning ka matlab Time aur To do list se hai. lekin in dono me bhi kuchh difference hain. kuchh dino pahle ek post publish kiya gaya hai. Time Table Vs To do list (सफलता और असफलता)

Table of Contents

Business Plan Kya hai

Blogging bhi ek Online Business Hai. aap sabhi jante hain Guruji Tips ek Blog Hai. iska matlab yah bhi ek business hai. Kisi bhi Business ke liye Planning karna hota hai. Busines Planning hai kya? jab Guruji Tips Blog start kiya gaya to kuchh plan likha gaya hoga. iska first month, second month, next, next month me kya kaise karna hai. revenue model kya hoga. kynki jab bhi koi business start kiya jata hai to usme revenue model ko bhi rakha jata hai. ham sabhi ka kuchh background needs hai, jise pura karne ke liye ham job ya business karte hain. Guruji Tips Domain bahut pahle book kiya gaya tha lekin Proper May 2017 se start hua hai. May aur June bahut hi achchhe planning ke sath kaam hua hai. Jiska Summary Today’s Dangerous Disease Post Me publish kiya gaya hai. June ke baad abhi tak koi bhi plan follow nahi kiya gaya hai aur shayad yahi wajah hai ki ab tak Guruji Tips wo mukamm hasil nahi kar paya hai. Lekin hamari koshish hai ab sahi se ek planning ke sath kaam kiya jaye. Ummid karta hu Business Plan Samajh aa gaya hoga. jo mai upar bataya hu wah example hai. Planning ke sath kjab koi bhi kaam kiya jata hai to uska graph hamesha upar hi uthta hai.

business plan kya hai

Top 10 Best Direct Selling companies in India

YouTube Channel kaise Create kare Full Guide in Hindi

Business Plan means Blueprint hai. Jisme business ke bare me general information, business aim aur us aim ko achieve kaise kiya jaye iske baren me likha hota hai. Planning ke sath business start karne par safalta bahut najdik hota hai. isme kai main point cover kiya jata hai. jaise Startup Investment, Business Nature, Partnership, Legal formalities, Business Loan, Revenue Model. Yadi loan chahiye to business plan bahut jaroori hai.

Why Business Plan

Jaisa ki upar ke paragraph me bataya ja chuka hai Business Plan matlab Business ke bare me sabhi jaroori jankari isme hota hai. Iski madad se hi business owner apne lakshya ko hasil kar pate hain. jo business owner business plan ke bina business start karte hain unhe safalta milne me kafi samay lag jata hai. kyuki unke pas koi written plan nahin hai kab kya aur kaise karna hai? Business Plan Kyun Banaye iske baren me kuchh Poins niche diya gaya hai.

  • Business Success
  • Monitoring
  • Business Loan
  • Business Strategies
  • Business Partnership or franchisee

How to Write Business Plan

kisi bhi kaam me safalta ke liye ek yojna banaya jata hai. Government abhi apna 5 Years Plan banati hai aur uske anusar kaam karti hai. yadi Business me safal hona hai to planning jabbardast hona chahiye. Business Startup bahut aasaan kaam hai lekin use continue rakhna aur usme safal hona bahut tough kaam hai. kabhi aapne socha success kyu nahi mila kyunki apke business plan me dam nahi hai. safalta chahiye to safal business plan likhna hoga. jitni jankari mere pas hai aur kuchh mai internet se collect kiya hu shayad isse aapko business plan banane me help mil sake.

  • Business Objective Kya hai yah business kyun karna chahte ho isme revenue model kya aur kaisa hai.
  • Business Plan kiske liye likha ja raha hai. Bank ya Investor ya Business Success ke liye likha ja raha hi.
  • tab tak koi business safal nahi hai jab tak usme revenue model achchha nahi hai.
  • Kisi Bhi business plan ko likhne se pahle kuchh jaroori baton par dhyan dena chahiye.\
    • Business Aim (व्यवसाय का उद्देश्य)
    • Transparency (पारदर्शिता)
    • Business Mode (Online / Offline)
    • Business Nature (Product / Service)
    • Market Competition
    • Startup Fund
    • Total Investment Cost
    • Business Location
    • Target Customer
    • Revenue Model

Upar bataye gaye sabhi Point ko detal me batane ki jyada jaroorat nahi hai ummid karta hu aap sabhi ko iske baren me pata hai. lekin yadi kisi point ya post me kuchh confusion ho to Comment me poochh sakte hain.

Business Plan Template in Hindi

Guruji Tips for Business

  • Kisi bhi business me safalta ke liye patience, Business idea aur Startup investment ki jaroorat hai.
  • Startup Investment nahi hai to bhi kaam chal sakta hai lekin, Patience aur Business Idea Ke bina Business possible nahi hai.
  • New Business Loan ke liye Revenue Model Business Likhan hoga jisme yah likha ho ki Loan Amount Return kaise hoga.
  • koi bhi bank Loan Return Plan ke bina loan nahin degi aapka business model kitna bhi achchha kyu n ho usme Loan return kaise karenge yah jaroor bataye.
  • Business Growth ke liye Continuous Positive direction me ek planning ke sath kaam karna hioga.

You May Also Read

पैसे कमाने के लिए TOP 5 ऑनलाइन Business Ideas in Hindi

Online Advertising कितने तरीके से किया जाता है

भारतीय महिला को जरूर पता होना चाहिए कानूनी अधिकार

FIR Full Form FIR Online Kaise Kare in Hindi

GST Kya hai and Positive Impact of GST in India

Conclusion Business Plan

Business Plan me Business se judi sabhi bate likhi jarti hai jise aage follow kiya jayega. safal business plan matlab the best branding and revenue model. business me high risk aur high gain hai. yaha patience se kaam len. kai baar samay aapke anusar nahin hota hai isme khud ko aur business ko sambhalna jaroori hai. kuchh bada karne ke liye risk lena hota hai jindgi me aage badhna hai to comfort zone se bahar nikalna hoga.

People May Also Search : business plan kaise banaye, how to make business plan in hindi, project kaise banaye, business plan kya hai.

यदि यह जानकारी आपको अच्छी लगी तो Spread the love Please Share...
Ashu Garg

Guruji Tips is a website to provide tips related to Blogging, SEO, Social Media, Business Idea, Marketing Tips, Make Money Online, Education, Interesting Facts, Top 10, Life Hacks, Marketing, Review, Health, Insurance, Loan and Internet-related Tips. यदि आप भी अपना Content इस Blog के माध्यम से publish करना चाहते हो तो कर सकते हो. इसके लिए Join Guruji Tips Page Open करें. आप अपना Experience हमारे साथ Share कर सकते हो. धन्यवाद !

15 thoughts on “Business Plan Kya Hai aur Business Plan Kaise Banaye

  1. BUsiness Plan Kaise Banaye इसके बारें में आपने बहुत अच्छे से समझाया है. लेकिन किसी अन्य पोस्ट में कुछ अच्छे Business Idea के बारें में भी बताएं.

  2. Koi business plan ka PDF hai aapke paas kya yadi koi PDF ho to please mere email par send kr dijiye.
    Sir mere pas kuchh business idea hai kya use kisi investor ke saath share karna safe hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *