Link Adhar Card with Bank Account Online and Offline Mode Update Adhar Number details to Bank Account for LPG Subsidy. आधार नंबर को बैंक अकाउंट से कैसे जोड़े ? एलपीजी गैस सब्सिडी पाने के लिए आज ही अपना आधार नंबर अपने बैंक अकाउंट से जोड़े. घर बैठे आधार कार्ड को बैंक अकाउंट से जोड़ने के लिए इस पोस्ट को ध्यान से पढ़े.
Jaisa ki mai aapko pichhle post me bata chuki hu Indian Government ne Adhar Number mandatory kar diya hai. Jaha kahi bhi document submit karna hota hai waha Adhar Card must hai. Abhi kuchh din pahle Government ne LPG par direct Subsidy dena band kar diya. Subsidy amount direct user ke account me aa raha hai. aise me account ko Adhar Card se link karna bahut jaroori hai.
Table of Contents
Link Aadhar Card
Adhar Card ko Account se Connect karna bahut hi easy hai aur aap ise Ghar baithe aasani se kar sakte hai. Is Post ko dhyan se poora padhe. Is Tips ko use kar almost sabhi bank account me Adhar card number add kar payege. Chahe Aapka account State bank of India(SBI), Punjab National Bank(PNB), Central Bank of India (CBI), Oriental Bank of Commerce(OBC), HDFC, ICICI,Canara, Axis Bank ya kisi doosre Bank me ho. Waise Next Post me mai sabhi Bank ke liye alag – alag Post bhi publish kar rahi hu. Is Post me mai Adhar Number ko Bank Account se Link karne ka general information share kar rahi hu.
Case Study : Blogspot Vs WordPress सफलता और असफलता
Bank, Account holder ke registered mobile number par continue message kar rahi hai. Please link your Aadhaar Number with your bank account. It is is and beneficial for you. Please Contact the nearest branch with Aadhaar details.
Sabhi Documents Me Aadhar Card Link Kaise Kare
Aadhar Link Kyu Kare
Bank Account Adhar Number se link karwana mandotary kyu kar diya gaya hai बैंक अकाउंट को आधार कार्ड से लिंक करना जरूरी क्यूँ है ? :
- Haal hi me Government ne Adhar Enabled Payment System (AEPS) ka shuruat kiya hai.
- AEPS ki madad se user without Debit card finger print ka use kar Account Transaction kar sakta hai.
- Ek user ka ek hi adhar card ban sakta hai to aise me Corruption ke chances kam hai.
- LPG Subsidy direct aapke account me aa jayega.
- Adhar Card Link Hone se Black Money Track kiya ja sakta hai.
- Sabhi Government Subsidies ke liye single Financial address.
List of Banks that Allow You to Link Aadhar Card
Allahabad Bank
Andhra Bank
Bank of Baroda
Bank of India
Canara Bank
Central Bank of India
Corporation Bank
Dena Bank
Indian Bank
Indian Overseas Bank
IDBI Bank
Oriental Bank of Commerce
Punjab and Sindh Bank
Punjab National Bank
State Bank of India
Syndicate Bank
UCO Bank
Union Bank of India
United Bank of India
Vijaya Bank
Axis Bank
Bandhan Bank
HDFC Bank
ICICI Bank
Kotak Mahindra Bank
IndusInd Bank
YES Bank
Bank Account Me Aadhar Link Kaise Kare
Adhar Card ko Bank account se link karne ka 2 (two) tarika hai.
1. Online Update or Link Adhar Number to Bank Accout
or,
2. Application form fill kar Bank me Submit karo.
Choice is yours !
Online Process for Linking Adhar Card to bank Account :
Online Adhar Number ko Bank Account se Link karna easy process hai. Online Adhar Number Link karne ke liye aapke pas Internet Banking Facility hona jaroori hai. Currently State Bank of India (SBI), Punjab National Bank (PNB), AXIS Bank, ICICI Bank, HDFC Bank Internet Banking ki service de rahi hai jise mai use kar chuki hu aur kar rahi hu.
Yadi aap in sabhi Bank ke Customer hai to is Post ko padhe.
Link Adhar Card to SBI Bank Account
Link Adhar Card to ICICI Bank Account
Link Adhar Card to HDFC Bank Account
Link Adhar Card to Axis Bank Account
Link Aadhar Card with All Banks Account
Yadi aap ka Account kisi anya Bank me hai to koi problem nahi hai Bas is step ko follow kare :
- Internet Banking ke Login credentials se login kare.
- Login ke baad Option Check kare Update Aadhar Card Details or Aadhar Card Seeding.
- Easily find kar lete hai to sahi hai. nahi to Login ke baad Ctrl+F press kare ek search box aayega usme Aadhar Card Type kare. Website me jaha kahi bhi Aadhar Card likha hoga wo aapko dikh jayega.
- Link milne par LINK OPEN kar Aadhar Number enter kare.
- Yadi Verify karne ka message aata hai to ise verify kar Submit kare.
- Congratulation ! Aapka details Bank ke Database me save ho chuka hai.
- Bank Portal apne end se Aadhar Number ko Verify Kar Confirm kar dega.
- Yah Process 48 hours ka time leta hai !
- Bank account Aadhar Number se successfully link ho jane par bank aapke registered mobile aur email id par aapko Confirm kar deta hai.
Hot Trending Topic
➔ LPG Subsidy के लिए आधार लिंक कैसे करें
➔ Mobile Number Aadhar से कैसे लिंक करें
Link Aadhaar Number to Bank Account offline
Jinke Pas Internet Banking ki facility nahi hai Unhe Internet Banking facility le leni chahiye. Yadi Bank hi Internet Banking facility provide nahi karta ho to fir kya kar sakte ho kuchh nahi Only one option Offline Mode.
Jinke pass Internet Banking ki facility nahi hai wo is approach ko use kar Bank account me Aadhar card Link kar sakte hai :
- Adhar Card ka Photocpy aur Bank Linking form ke sath Branch me Submit kare.
- Bank linking aap Branch se le sakte hai ya download karne ke liye click kare.
- Form ko download kar iska Print nikal le.
- Correct details fill kare.
- Passbook se Bank Account Number and IFSC code fill kare.
- Adhar Card wale Box me Aadhar Number enter kare.
- Form fill kar Aadhar Card ke Photocopy ke sath ise branch me submit kare.
- Adhar Card Verify ho jane par aapko suchit kar diya jayega.
NOTE :
- Bank Account me Mobile Number jaroor Register karwaye.
- Mobile Number Registered hone se aapko credit / Debit ka bhi Notification aata rahta hai.
Check Aadhar Link Sta
Bank account me Aadhar Card Update hua ki nahi kaise Check kare :
- Bank me contact kare
- Branch Visit kare
- Bank ke toll-free number par call kare
You may also read
Adhar Card Staus Check Kaise kare UIDAI Verification Process
इन 10 तरीको से Whatsapp को Hack होने से बचाए.
INTERNET से पैसा कैसे कमायें ?
GST Kya hai and Positive Impact of GST in India
Must Read Three Stories of Steve Jobs for change your Life !
Aadhaar Card Link karne me koi pareshani ho to Comment me poochh sakte hai. Yad abhi tak aapne apna Aadhar Card nahi banwaya hai to jaroor banwa le.
People may also search for : Aadhaar Card Link, Adhar Card Bank link in Hindi, Link Aadhaar Card to Bank Account, bank account link with aadhar, bank account link with aadhar status. Is Post me in sabhi question ka answer hai.
abhi to supreme court ne bola hai aadhar card add karwana mandatory nahi hai.
Bank Account me ab aadhar card link karwana jaroori nahi hai aisa supreme court ne kaha hai.
Bank Account me aadhar card link karne ke liye kai bar aadar card jama kara chuka hu lekin abhi tak bank ne mere account me aadhar card link nahi kiya hai.
thanks for sharing this information..have shared this link with others keep posting such information..
SBI account me net banking se aadhar card add kr chuka hu fir v bank manager bol raha hai aadhar card link ni hai.
Hello
Such a great and informative article about how to link an aadhar card to a bank account. Thanks for sharing this article
thank you so much sir
Thanks for sharing your valuable thoughts. Aadhar is now mandatory for everyone but now it is not mandatory to link aadhar from your bank accounts but if you do it is good.
Sir Mera uid npci se link n ho rha h Kya kre plz help me
आप क्या पूछना चाहते हैं समझ नहीं आ रहा है।
Bohat Badiya Article. Bohat ache se btaya ap ne. Thank you so much
Sir PAN card Ko Aadhar se link kaise kare return Bjarne ke liye Aadhar Ko PAN se link karna jaroori hai.
Thanks for sharinng this information. Have shared this link with others keep posting such information.
Krapiya mera adar link kar diya jai
Sir Bank Account me aadhar kaise link kare yahan iske bare me jankari di gai hai. Bank account me aadhar link karane ke liye bank jaye ya online net banking se khud hi karna hoga.
crgb ka online bank ac se aadhar link hoga
bhut achi trah explain kiya gya hai….kya kisi number ko kisi dusre ke nam kiya ja skta hai
Nahi jiska aadhar hai usi ke account me link kiya ja sakta hai. Bank account se aadhar link karne ke liye naam aur Date of Birth Match Hona chahiye.
Hello sir
Maine apna axis bank ka account Punjab me online khol liya Hon,but Mai Bihar me rahta Ho Mai kya karu taki account Bihar me ho jaye. Please help me
Kya aapke paas online banking means net banking ki suwidha hai. Net banking me login Kar account transfer ke liye request Kar de transfer ho jayega.
Issue pahle document verification means KYC update karwa le isme bank employee aapke address par aa Kar pan Aadhar detail let’s hai.
sir hmara sbi me khata he ane mobil nober ragition nhi he to sms se ho sakta he adharcard no link bank me
ATM Se Aadhar link kar sakte ho Mobile Number के लिए Bank जाना होगा.
thanks sir aapki post se mujhe bahut help mili hai aap bahut achchhi post likhi hai
sir mera aadhar card me name dipak kumar bishwakarma he aur bank aaccount me name dipak b.k he sudhar kar sakte he ?? kaise sir pls sir
Bank me aadhar card ka copy de sath me Affidivit bhi dena par sakta hai. Bank Manager se baat kare use kaun kaun sa document chahiye.
बहुत अच्छी जानकारी, क्या आने वाले समय में फेसबुक यूजर को आधार नाम का इस्तेमाल करना होगा?
अभी भी ID बंद होने पर Verify करने के लिए आधार कार्ड चाहिए. हो सकता है आने वाले समय में ऐसा हो सकता है.
Bahot badiya jankari di hai sir apne thanks
Hi, i think that i saw you visited my weblog thus i came to “return the
favor”.I am attempting to find things to improve my site!I suppose its ok to use a few of
your ideas!!
aadhaar number ko bank account se link karne ke baare me bahut hi badiya jaankari share ki hai, thanks
Koun sa apps hai jo onling khata se link ho raha hai please sir help me
Agar dost ke mobile me Banking suvidha he to uske mobile me se ho sakta he? Aapne phone me apps ko download karne ke liye Kya Karna padta he.
Play Store se app download kar sakte hain lekin Bank se Mobile banking ki facility leni hogi.
Mera aadhar me Manoj name hai or bank me first name k sath sirname v chaheye tha to bank walo ne 2 baar manoj manoj likha hai kya us karan mera adhar link ni ho rha hai ya koi or karan hai
1oth ke document me jo name hai us name ko aadhar card card me update karwaye.
Agar ek se jada banko me account hai to kese link kre..?
Kyonki aadhar link sirf ek bank account me hota hai.
Reply..?
ऐसा नहीं है. सभी Bank के bank Account में Aadhar Card Link कर सकते हैं.
Yadi aadaar mai name main sir name na likha ho and account main sir name likha ho to kaise link hoga
पहले किसी एक Document में Name Correction करवा लें.
Sir mere Icici bank main Aadhar card no.galat link h uski jagah dusra aadhar no. Link Karna h .Sir kya Karna padega main bahut preshan hu mari salaries bhi ruk gai h
Kya aapke do aadhar number hai. dekhiye sabhi ke pas ek hi aadhar number hai aise me aapke account me kisi aur ka ya galat aadhar number link kar diya gaya hai. sahi aadhar number Bank Account Me add karwane ke liye aadhar card ka xerox aur Original ke sath Nearesr branch visit kare. yadi aapke pass online Banking hai to isse bhi aadhar ad kar sakte hain.