ADSENSE, yah naam Internet ki duniya ka spinal cord hai. Ek sachchai main apko batata hu Online Duniya me kadam rakhne se pahle log ADSENSE ke bare me jaan lete hai. Lekin, unhe sirf itna pata hota hai ki “Adsense se Online Paisa kamate hai”. Adsense Approve hone par Bloggers Party bhi dete hai. Aap Soch sakte hain Value of Adsense, Power Of Adsense. Har sikke ke do pehlu hote hain to Adsense achchha ke sath – sath kharab bhi hai. jise Approval Mil Gaya uske liye Motivation, Jise approval nahi mila usle liye Demotivation.
Adsense ke bare me sahi jankari nahi hone se Publisher Adsense ke Policy ko Break kar deta hai. Jiska Punishment bahut tough hota hai. Google Adsense Account ko Suspend, Deactivate ya Banned kar deta hai. Isliye is post ko dhyan se padhe koi bhi Confusion hone par Comment kar poochh sakte hai. Google Adsense ke mamle me bahut jyada strict hai.
Google Adsense kaise kaam karta hai ? Isse kitna Paisa kamaya ja sakta hai ? Isse paisa kamane ke liye kya karna parta hai ? Aise kai sawal Newbies ke man me aata hai. Ajj ke Post Adsense Kaise kam karta hai (How Adsense Work) me main in sabhi point ko steps by step details me bataunga. Is Post ko sahi se padhne par sabhi Basic Points aapko bahut achchhe se samajh me aa jayega. Kisi bhi Topic ka kaise (How To) jaane se pahle kya (What) jaroor jane. Shayad aap sabhi ko Google Adsense kya hai (What is Google Adsense ?) yah jaroor pata hoga. Jinhe nahi pata hai unke liye ek short information daal deta hoon.
#GTTalk An Interesting Talk With Blogger Shaikh Muneer from IndiHow.com
#GTTalk An Interesting Talk With Blogger Manish Lodhi from Allhindihelp.com
Adsense ke bare me sabhi apna experience hi shre karte hain kyunki iska koi Support System nahi hai. Google ne Adsense Support ke liye koi service nehi deta hai* (* Bare Publisher ke liye help desk hai.). Adsense Team Se baat karne ke liye n hi koi Email Address hai n hi koi Toll free Number hai. Sath Internet par Adsense se Related Jankari ki bhi kami hai. Adsense se related jitni bhi jankari Internet par maujood hai wo Writer ka self experience hai. Aaj mai bhi apna Experience share kar raha hoon Isse aapko bahut kuchh sikhne ko mile.
Real Fact : Adsense ki sahi jankari se aap kam traffic se bhi jyada paise kama sakte ho. Per day 1000 Users wala Website Per day 10000 Users wale Website se jyada paisa kama sakta hai.
Google Adsense Kya hai ? (What is Google Adsense ?)
Google Adsense Google ka ek Product hai jo advertisement ke management ka kaam karta hai. Yah Publisher (Jis website ya Blog ko Google advertisement ke liye approve kar deta hai.) ke Website ya Blog Par Automatic Text, Image, Video and attractive media ka Add Place karta hai.
#GTTalk आज के Interview में हमारे साथ हैं Jitender Singh from ViralHax
Add ka Content Readers ke Interest aur Blog / Website ke Niche ke according dikhta hai. Publisher Adsense Code ki madad se apne Website ya Blog par Add place karte hai. Google Adsense ki madad se Publisher do tarah se Online Earn kar sakta hai.
- Impression : Ise CPM (Cost Per Mile) ya RPM (Revenue Per Thousand Impression) bhi kahte hai. Cost Per Mile iske naam se hi samajh aata hai one mile (1000) ka Cost. Website ya Blog par lage Add ko daily kitni baar dekha gaya. Yadi ek publisher 25 page Views ka $0.15 Earn karta hai to usaka Page RPM ($0.15 / 25) * 1000 = $6 hoga.
- Click : Ise CPC (Cost Per Click) kahte hai. Isme earning Click par hota hai. India me CPC bahut kam hai.
Website / Blog par aapne Add jaroor dekha hoga. kuchh screen short main yaha share kar raha hoon.
Yah sabhi Add ka screen short Guruji Tips Blog se liya gaya hai. aap sabhi me dekh sakte hain Domain ka hi add hai. Is Blog par sabse jyada post Domain se Related Likha hua hai sath hi mai bhi Domain se related jyada search karta hoon. Ads aapke device (Mobile, Computer, Laptop, Tablet) me kuchh aur ho sakta hai.
Ho sakta hai aapke man me kuchh khyal aa raha ho Google kaise paisa kamata hai. yah human tendency hai kahin se paisa kamane ki baat ho to log pahle samne wale ke baren me janana chahte hai Samne wala kahan se kama raha hai. yah jaroori bhi hai. kahi aisa n ho ham ne mehnat kar liya aur samne wale ke pas dene ke liye paise hai hi nahi. Google ke Case me aisa nahi hai Lekin Yadi Publisher iske Policy ko break karta hai to Adsense Payment Block Kar sakta hai aur kar bhi deta hai.
Advertiser (Jin logo ko Advertisement ki jaroorat hai) Google ko Pay karta hai. Google 68% Amount apne Adsense Publisher ke sath sahre karti hai. Yah Percentage fix nahi hai change hota rahta hai. Sirf Content Add par 68 % Share karta hai. Search Content par 51 % revenue share karta hai. Publisher ki income $100 hone ke baad hi payment publisher ke bank account me wire transfer hota hai.
Advertiser : jo apne Product ka Advertise karta hai. Eg. Upar ke Pic me Bigrock ka Advertisement dikh raha hai So yahan Bigrock Advertiser hai.
Publisher : Jiske Blog ya Website Par Advertisement dikhta hai.
Sabhi Category ke Business Person / Organization jinke paas budget hai wo Google par advertise karte hai isliye Adsense ke Paas sabhi category me ads available hai. publisher kisi bhi category ke website par ads use kar sakta hai. Payment ka scheme bhi bahut achchha hai. Iske alawe bhi kai Ad Network hai lekin adsense ke comparison me ye sab pay kam karta hai, Payment Scheme sahi nahi hai, Time pe Payment nahi karta hai. Google Adsense in sab wajaho se the best ADVERTISING NETWORK hai.
Google pahle sirf English Website ko Support kar raha tha. lekin ab hindi website ko bhi support karne laga. sath hi anya kai local language ko bhi support karne laga. aisa hone se lagbhag sabhi language ke publisher ko add milne laga. Adsense account approval ke bad publissher apne Blog / Website me Ads laga sakta hai. sath hi blog ke design color combination ke according Ads ko bhi customize kar sakte hai.
Google Adsense sirf Blog / Website ke sath Youtube par bhi kaam karta hai. sabhi users padhne se jyada dekhna aur sunna pasand karte hai lekin data speed sahi nahi hone ki wajah se padhte hai. lekin jis user ka data speed sahi hai wo youtube par video dekhna pasand karte hain. Youtube par Video ke starting me ya beech video me jo ads dikhta hai wo bhi Google Adsense network se hi dikhta hai.
Sahi mayne me income adsense se nahi balki Traffic se hota hai. Income is directly proportional to traffic. More Traffic more Income Less Traffic Less Income. Blog par Traffic nahi hai to Adsense Add se koi fayda nahi milne wala hai. Shayad hi aisa koi blogger hoga jo Google Adsense ke bare me nahi janta ho.
Google Adsense kaam kaise karta hai. (How does Google Adsense Work)?
Google Adsense ke kaam karne ka tarika shayad aapko samajh aa gaya hoga. yadi nahi to koi baat nahi main bahut hi aasaan shabdo me bata deta hoon. Yaha do kaam ho raha hai. pahla Advertiser se Ads lena aur doosra Publisher ko Add Dena.
kisi bhi Company se direct advertisement lena tough hai kyunki direct sabhi baat nahi kar sakte hai aur Advertiser ko bhi problem hoga. Aise me Advertiser Google ko select karte hai. Advertiser ko bhi sirf Google se hi baat karna parta hai. Sath hi advertiser kisi Blog se jyada Google par Believe karta hai. lekin kisi Single niche me Popular hone ke baad niche related advertiser Blog Admin se direct contact karta hai. Advertiser Ads kaise submit karte hai ye main next post me bataunga.
Publisher Google Adsense se Income Kaise karte hain ?
Upar ke Image se Clear ho gaya hoga Publisher (Webmaster) Google Adsense se paisa kaise kamate hai. yaha mai ek Example deta hoon.
- jaisa ki mai apko pahle hi bata chuka hu yah network CPC pe kaam karta hai aur Content par 68 % revenue publisher ke sath share karta hai.
- If today you got 100 Ads Click at 0.20 CPC Your income = 0.20*100 = $20.
- Adsense Wire Transfer se publisher ko Payment karta hai.
- Iska payment threshold $100 hai.
- Yadi is mahine aapka income $98 hai to ye amount next month me add ho jayega.
- $100 hone par hi payment release hoga. payment har mahine ke 21st day ko aata hai.
Publisher Google Adsense se kitna income kar sakta hai :
Itna padhne ke baad aapke man me ye khyal jaroor aaya hoga “Adsense se kitna paisa kamaya ja sakta hai” paisa kamana kai factors par depend karta hai.
- Topic Of Blog / Website : Jis Niche pe aap Blogging kar rahe ho us keyword par Advertiser ka bid rate kya hai? jitna jyada Bid rate hoga utna jyada income hoga yadi bid rate kam hoga to Hight Traffic par bhi Low Income Hoga. Bid rate Adword tool se aap check kar sakte ho.
- Traffic Geo Location : Geo Location means aapke Blog ka traffic kis location se aa raha hai. USA ke Traffic se income jyada hota hai. yahi wajah hai ki hindi website pe jyada income nahi hota hai. Adwords Tool me Geo Location par kya bid hai yah bhi check kar sakte hain.
- Ad Placement : Advertisement Blog ke kis Location par hai.
- Keyword : Blog par High Quality Post kitne hain. sath hi Post me Kitne High Paying Keyword use karte ho.
Adsense Account Kaise Banaye Full Guide for beginners in hindi
Ummid karta hu yah post apko jaroor pasand aaya hoga. Sath hi Post me likhi gayi sabhi jankari samajh aaya hoga. Agle Post me Adsense Account Approve kaise karaye ke bare me jankari share karunga.
You may also read
Blog पर Traffic कैसे बढ़ाये How To Drive Traffic to Your Blog?
SEO Tutorial for Beginners in Hindi
High Quality Content Kaise Likhe ? [Case Study]
SEO Purpose से Site Launch से पहले Domain कैसे Park करें ?
Adsense Related help ke liye Comment kare. Post Related Confusion, Question or Suggestion ke comment jaroor kare. #Adsense Payment Date – 21st day of Every Month.
nice information
sir ek din me bar bar adsance login krke chek krne pr google adsance acount disable kr det hai kya?
disable to nahi hoga lekin bar bar adsense dekh kar kya milega? focus on work.
very nyc bhaijaaan
bhai mera blogspot par blog hai aur mere adsense account me balance me 91.58$ november ke end me ho gaye the, aur aaj 10/12/2018 ko mere this month ki earning me 8+ $ hain yani ki total 100+ ho gaye hain .
lekin balance me toh 91.58$ hi hai toh kya 20/12/2018 ko meri sari earning jodkar payment ki jayegi ya phir adsense balance me 100$ hone chahiye .
yani ki 20/12/2018 ke pahle mere adsense account me 100+ $ honge but kya mujhe payment milegi ya nahi .
December aur November dono mahine ki earning ek sath January me aayegi.
Very information is there also visite my site hindihealthhelp.com
Excellent way of writing and very informative blog on Health.
thanks for the helpful information
wah ! ati uttam article hai bhai, main bhi blogging karata hoon, but aapki tarah seo ko follow nahi kar pata hoon . waise toh article bahut accha laga .
Bahut achhi jankari sir maine aapko fb par request send kiya hu, accept kar lene brother 😅
Hello sir ye impresion se hamari earning pe kya efect hota hai yani kya fyda jota hai chalo agar hamari website pe sirf impresion hi hote hai ads pe click nahi hote to kya hame earning nahi milegi
Kya 1000 impresion pe koi earning hoti hai bina click ke
Aur kya impresion se cpcme kya fyda hota hai
Impression से भी कमाई होती है. लेकिन Click के मुकाबले कमाई बहुत कम होती है.
bahut achchhi jankari aapne di hai
Really bahut accha article hai. lekin mera ek sawal hai hum adsense ke sath or kon-kon se ads network ka use kar sakte hai jisse adsense disable bhi na ho or earning bhi ho sake
Adsense ke sath Adnow, Adjebra, taboola, revcontent ka ad laga sakte hai. lekin iske liye traffic achchha hona chahiye.
Bahut achi jankari dete hai aap sir please check karke bataye ki hamari site adsense ads lagane ke kabil h besthelpworld.com
Aap Adsense Ke liye Apply kar sakte hain. Website ke liye koi hard and fastr rule nahi hai koi mile stone nahin hai adsense application ke liye. Content unique hona chahiye copy content par approval nahin milega.
Bahut hi Badhiya janakri diya aapne thanks for share adsense
Hello Sir,
Thanku For This Information
Kya aap bata sakte hai ki Kya me 2 Adsense Account bana sakta hu ek Hi Home Address par.
Thanku In Advance
Alag alag name, email aur phone number se create kar sakte ho.
Nice post
आषुतोष जी, बहुत ही बेहतरीन तरीके से आपने हर एक Topic को Clearly समझाया है।
मृत्युंजय जी हमलोगों का हौसला बढ़ाने के लिए आपका बहुत बहुत धन्यवाद।
Bahut aChha article hai yesi helpful jankari share krte rahiye aur mene bhi blog bnaya hai HTIPS.IN so please isko grow krne ke liye help kijiye
dear adsense kay sath best user friendly ads network or konsa lgga skte hai
Content पर Depend करता है. आप हिंदी Content पर काम करते हो या English Content पर ! सबसे पहले Blog का Engagement बढाओ उसके बाद Monetization करो.
Acchi story bata kar likhte hai aap, very intresting !keep it up bro 🙂
nice post Brother
Mujhe Isko Zrurat thi bhai,, Thank YOu So Much
Hello Ashutosh
Very great blog and blog posts also
Thanks for sharing such a great contents.
Thank you Mr. Rohan for your Complement on this Post “Adsense Account Kya hai aur kaise kaam karta hai” You may also read my Post Adsense Ccount kaise banaye step by step full guide for beginners
bahut badiya janakri de apne.
Thank you Neeraj Ji